Abstract:
Bhugol Vishay vidharthiyo ki shaikshik drashti se tatha dainandit vyavahar ki drashti se adhik upayukta hai. Bhugol Vishay me anya vishayo ki apeksha adhik kathinai hoti hai, kyonki bhugol Vishay me adhikansh pathyavastu vidharthi ke anubhav kshetra se bahar hoti hai. Shikshak aur vidharthi dono ko bhugol ka pratyaksh anubhav nahi rahata, yahi karan hai ki bhugol ka gyan vidharthi ko shudhda roop se dena kathin hota hai. Isaliye bhugol ke shikshak ko bhugol ka uchit gyan pradan karane ke liye pratyaksh anubhav ke sath-sath kuch shikshak samagree ko bhi prayog karana padata hai.