Abstract:
Manushya ke jeevan ko disha nirdesh karanaa aavashyak hai. Disha nirdesh sahi hona chahiye. Jisase maanviya jivan me niyam, naitikataa, sadaachaar, lokashaahi, naagarikata, dharmikataa, sanskratikata aadi gun vidhamaan ho aur in urpyukat guno ko pane ke liye shiksha aavashyak hai shiksha ke bina manavi jeevan vyarth hai.
Shiksha ham sabake jeevan ka anivarya anga hai. Shiksa ka mahatva dino-din badhata hi chalaa jaa rahaa hai. shiksha shabda Sanskrit ke shiksh dhatu se banaa hai. Shikshana ka aarth hai sikhanaa. Sikhane ki prakriya shishu ke janm se mratyu tak chalti rahati hai. Shiksha aajeevan chalne vaali ek esi prakriya hai jiske dwara vyakati ka shareerik shakti boudhdik, bhavanaatmak, samajik evam aadhyatmik aadi vikash sampark reeti se hota hai iske falsvroop vyakati apane aap ko vatavaran se anukool karke jeevan ko safal banaata hai aura pane vyavahaar me parivartan tatha parivardhan lata hai. Jisase vyakti, jati, rastra tatha vishva sabhi ka hita hota hai.