Abstract:
Aaj ham gyan adharit samaaj tatha gyanawan duniya main ji rahe hai, jahan gyan vyakti vishesh ke liye ek badi urja, punji tatha takat aur rashtra ke liye aapar sampada hai. Badte huye is bhandar ko aatmasat karne ke liye aaj hame vikasit takaniki ke gyan evam upayog ki aavashyakta hai, hame aaj gyan ko grahan karane ki nahi balki gyan ki prapti ki paddhati ko bhi sikhane ki jarurat hai. Yah baat suchana evam sampreshan takaniki ki sahayata se bhi sambhav hai. Jeevan ka koi bhi kshetra aur kona aisa nahi janha takaniki gyan aur kaoshal ke upayog ka aanand hamare dwara nahi uthaya ja raha. Prashasan, aarthik pabandhan, aawagaman, vyavasay, sainik sangathan sabhi kshetro me gyan aur kaoshal anivarya ban gaya hai. Phir shiksha isse achhuti kaise rah sakati hai. Shiksha prakriya aur usake parinamo ke sabhi tarah ke niyojan, kriyanavayan aur pabandhan main aaj takaniki apana bahumulya yogadan de rahi hai.