Abstract:
Prachin samay main shikshak hi shikshan ka sarvesarva mana jata tha aur usi ke anusar shiksha ka svaroop hota tha. Kintu aaj ke aadhunik evam takaniki yug me aisa nahi hai. Fir bhi vidhi ka gyan shikshaarthi nahi ab bhi shikhak hi mana jata hai.
Shiksha hame is yogya banati hai ki paristhitiyon ke anuroop uchit nirnay lekar sahi marga ka chayan kare aur jeevan ke vibhinna kshetron me vibhinna avsaro par sahi vikalp ka chunav kar saken. Shikshak par hi samaaj ki unnati nirbhar hoti hai. Bhavan nirmaan main jo sthan eton ka hai, rashtra nirman me wahi sthan shikshak ka hai. Kyonki shikshak balkon ko samuchit shiksha pradan kar desh ka bhavishya ujjwal karta hai.