Abstract:
Shiksha kisi bhi rashtra ki pragti ka mool adhar hai. Jiska sambandh kisi vishesh vyakti ya varg se hokar desh ki puri jansankhya se hota hai. Aaj svatantrata ke 65 varsho ke bad bhi 6-14 varsh ke sabhi bachcho ko shikshit nahi kiya ja saka. Jo shikshit huye bhi uname se bahut se bachcho ki shiksha ke gunavatta ka star uchch nhi hai. Unhe jis kaksha tak jin-2 dakshataon me praveen ho jaana chahiye tha wah us star tak nahi seekh paye hai.